Najany kiun itna yaqeen ha teri WAFA par ay Dast, Warna husan waly to khud sy bhi WAFA nahi karty...!!! Sada jo dy tujh ko kabhi WAFA keliye, Khafa na karna us ko kabhi khuda keliye...!!!
HISAAB. Kuch to hisaab karo ham sy, Itni WAFAEIN udhar kon deta hai...!!! Buhat sa maan ha tum par Suno! tum paas-e-WAFA rakhna, Sabhi sy tum milo lekin Zara sa fasla rakhna, Bichar jana bhi padta hai Zara sa hosla rakhna, Who kurb ky lamhy Tum aankhon mein saja rakhna, Abhi imkan baqi hai Lab py tum duaa rakhna, Buhat nayab hain dekho Hamein sab sy juda rakhna...!!!
Mujh sy kiya gila tum ko itny badguman kiun ho tum, Mainy tum ko chaaha hai tum sy to kuch nahi chaha...!!! Qayamat ka to suna tha ky koi kisi ka na hoga, Magar ab to dunya mein bhi yeh riwaj aam ho gaya hai...!!!
Hota nahi ha tujh py kisi baat ka asar, Lagta tery roop mein pather mila mujhy ...!!! Kaanty to naseeb mein aany hi they, Phool jo ham ny gulab chuna tha...!!!
Tum mery liye koi ilzaam na dhondo , Chaha tha tumhain yahi ilzam buhat ha...!!! Tum to kuch mahdood sy lamhon mein mily ho ham sy, Phir jany kiun ham itni fursat sy tumhain sochty hain...!!!
Bhool gaye ho to bata do mujh ko, Mujh mein marny ki himmat aa gai ha...!!! Baqaidgi sy itny achy nahi sitam, Kuch roz naamchy mein tarmeem kijiye...!!!
Ranjishein. Meri zaat py woh lamha giran guzray ga, Tujh sy hat kar jo yahan guzry ga Halki halki ranjishein to samajh mein aati hain, Lekin kesy tery bin mera jahan guzray ga...!!! Rabta. Toot jata ha waasta khud sy, Tujh sy j ab raabta nahi hota...!!!