Shajar, Zameen, Ghata, Aasman bolta hai, Woh hont kholy to sara jahan bolta hai, Suny ga kon sadaein dil-e-shikashta ki Tamam shahar tumhari zuban bolta hai, Hamary bech muhabbat mahak rahi hai a gar To phir yeh kon ha jo darmian bolta hai, Dilon sy uth ta nahi khof ka dhuwan yonhi Yaqeen bikharny to guman bolta hai, Jalaye betha hon jab sy diye mandiro par Har aik shakhs hawa ki zuban bolta hai, Zarori ho gaya ha ab to bolna MOHSIN Sakoot e shab ho to khali makan bolta hai...!!! Pagal aankhon wali larki Itny mahngy khuwab na dekho Thak jao gi Kanch sy nazuk khuwab tumhary Toot gaye to pachtaougi Tum kiya jano...!!! Khuwab... safar ki dhoop ky teshy Khuwab... adhori raat ka dozakh Khuwab... khayalon ka pachtawa Khuwabon ka hasil tanhai Mahangy khuwab kharidny hon to Aankhein bechna parrti hain Rishty bholny parrty hain Andesho ki rait na phanko Khuwab ki oat sarab na dekho Piyas na dekho Itny mahang...