KHUWAB bhi shayad kaanch sy kamzor hoty hain Wasi, Har roz bikhar jaty hain faqat ik aankh ky khulny sy...!!! KHUWAB-e-adam sy jaagy they ham tery waasty, Akhir ko jaag jaag kar naachar so gaye...!!!
Aey Allah main tery naam sy din ka aagaz kar raha hon mera aur tamam musalmano ka sara din acha guzray aamin...!!! Gunahon Ka Boojh Halka Kijiaey. Hazrat abdullah bin umer (R.A) farmaty han ky mainy rasool Allah (S.A.W) ko ye irshad farmaty howey suna: "Jab koi shakhs nimaz keliye khara hota to usky gunah usky sar aur kandhon par rakh diye jaty jab jab wo rakoo aur sajdy mein jata to wo gunah girty rahty hain....!!!"
ISHQ hara ha to sar tham ky kiun bethy ho, Tum to har baat py kahty they ky koi baat nahi...!!! Lihaz-e-ISHQ na hota to tujh sy ranjishen hotein, Shikayat sirf itni ha ky tu samjha nahi mujhko...!!! Ly kar zanjeer hathon mein kuch log tumhari taak mein hain, Ay ISHQ hamari galyon mein na aur phiro to acha ha...!!!
Dil kahta ha tery qadmon py jaan qurban kardon, Ky tu is bewafai ky dor mein mery sath chal raha ha...!!! Ijazat ho to kuch araz karon? Khel chuky ho to DIL wapis kar do...!!! Jab kabhi tera nam lety hain, Dil sy ham intiqam lety hain...!!!
Najany kiun magar phir bhi mera DIL karta hai, Wafa ko aag lag jaye Muhabbat bhaarr mein jaye...!!! Tumhary baad baqi aur to sab theek ha lekin, Jahan DIL tha kabhi pahly wahan ab dard hota ha...!!!
Bewafai ki har kahani ka, Silsila tum sy ja ky milta ha...!!! Na kar muhabbat pardesi sy inka thikana door hota hai, Yeh BEWAFA nahi hoty uhain jana zaroor hota hai...!!!