Yeh Samanda r Hai kinaare Hi kinaare Jaao IshQ Har Shakhs ke Bas ka Nahi Piyaare Jaao, Yun To Maqtal Me TamasHaayi Bohat aatey Hain Aao uss Waqt Ke Jis waqt Pukaare Jaao, Dil ki Baazi Lagi Phir Jaan ki Baazi Lag Jaaye IshQ Main Haar ke Baitho nahi Haare Jaao, Kaam Ban Jaaye agr Zulf Janoon Ban Jaaye Is Liye uss ko Sanwaaro Ke Sanwaare Jaao, Koi rastaa koi Manzil use DushwaaR nahi Jis Jagah Jaao Mohabbat ke Sahaare Jaao, Hum To mitti Se Ugaayen Ge Mohabbat ke Gulaab Tum agr Torne Jaate Ho Sitaare Jaao, Doobna Ho Ga agr Doobna Taqdeer Main Hai Chaahe Kashti Pe Raho Chaahe kinaare Jaao, Tum Hi Socho Bhala Ye Shouq koi Shouq Hua AaJ Uonchaayi Pe Baitho kal Utaare Jaao, Maut Se Khail ke karte Ho Mohabbat "Ghalib" Mujh ko Dar Hai Kahin Be-Maut na Maare Jaao...!!!