Hazrat Abdullah Bin Umer r.a sy marvi ha keh Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Allah Taala raham karny walon par raham karta hai tum zameen walon par raham karo aasman wala tum par raham kary ga raham rahman sy mashtak ha jo shakhs rishta jory ga Allah taala usey (apni rahmat ky sath) jory ga aur jo rishta tory ga Allah tala usey (apni rahmat sy) torr dy ga...!!!"
Mahboob sy Mahroomi par Sabar Karny waly Insan ki Fazelat:
Hadees-e-qudsi hai Allah tala farmaty hain:
"Mera woh momin banda ky jab main ahal-e-dunya mein sy uska koi mahboob tareen saathi apny pas bula lon, phir who usy Allah ka hukam samajh kar hansi khushi qabool kar ly to mery pas uska badla jannat ky siwa kuch nahi hai...!!!
Rafa Hajat ky Masail:
Abdullah bin umer farmaty hain keh Rasool Allah s.a.w peshab kar rahy they ky aik aadmi ny Aap s.a.w ko salam kiya magar Aap s.a.w ny uska koi jawab na diya is hadees sy maloom howaa ky rafa hajat ki halat mein kalam karna mukroh hai...!!!
Nabi Rahmat s.a.w ny gusal khany mein peshab karny sy mana farmaya...!!!
Bhlai Ke Kam Me Sifarish Karny Ki Fazeelat:
Allah tala ka farman hai: "Jo bhalai ki safarish kary ga wo us mein sy hissa paaye ga...!!!"
Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Sifarish karo tumhain ajar ata kiya jaye ga...!!!"
Quran ki Tilawat:
Allah tala ny farmaya: "Aur jab quran parha jaya kary to uski taraf kan laga diya karo aur khamosh raha karo umeed ha ky tum par rahmat ho...!!!"
Aur Quran ko thahar thahar kar parha kar...!!!
Comments
Post a Comment