Urdu Ishq Shayari Images and SMS Collection


ISHQ hara ha to sar tham ky kiun bethy ho,
Tum to har baat py kahty they ky koi baat nahi...!!!




Lihaz-e-ISHQ na hota to tujh sy ranjishen hotein,
Shikayat sirf itni ha ky tu samjha nahi mujhko...!!!




Ly kar zanjeer hathon mein kuch log tumhari taak mein hain,
Ay ISHQ hamari galyon mein na aur phiro to acha ha...!!!




Mera seedha saadha mizaj tha mujhy ISHQ hony ki kiya khabar,
Teri ik tabassum naz ny mera sara zoq badal diya...!!!




Tu KHUDA ha na mera ISHQ farishton jaisa
Dono insan hain to kiun itny hijabon mein milein...!!!



ISHQ jis ko talaq dy dy,
Umer us ki tamam iddat...!!!




ISHQ tujh sa bura nahi koi,
Har bhaly ka bura kiya tuny...!!!




Jis din kitab-e-ISHQ ki takmeel ho gai,
Rakh dein gy zindagi tera basta utar kar...!!!




Jis umer mein aqal aati ha amoman,
Ham us umer mein ISHQ kar bethy...!!!




Tajruba aik hi ibrat keliye kafi tha,
Mainy dekha hi nahi ISHQ dobara kar ky...!!!



Comments