Dil Shayari/Poetry Images in Urdu Sad Mood Vol-02



Najany kiun magar phir bhi mera DIL karta hai,
Wafa ko aag lag jaye Muhabbat bhaarr mein jaye...!!!




Tumhary baad baqi aur to sab theek ha lekin,
Jahan DIL tha kabhi pahly wahan ab dard hota ha...!!!




Uff toba uski nazron ka khumar uff toba,
Yaqeen karo DIL na dety to jaan chali jati...!!!




DIL dukhaya karo ijazat hai,
Bhool jany ki baat mat karna...!!!




Tum to apny ho tumhain DIL sy nikalein kesy,
Ham to dushman ko bhi beghar nahi hony dety...!!!




Hazar khof hon lekin zuban ho DIL ki rafique,
Yahi raha azal sy qalandro ka tareeq...!!!




Kisi ny mol na poocha DIL-e-shikasta ka,
Koi kharid ky tota piyala kiya karta...!!!




Aankhon mein raha DIL mein utar kar nahi dekha,
Kashti ky musafir ny samundar nahi dekha...!!!




Aik wo cheiz jisy DIL ki khushi khaty hain,
Kahein bazar mein mil jaye to lety aana...!!!




Kitni mushkil sy cherri ha DIL ny tark-e-taluq ki guftago,
Ab shab neend mein meri aankhon par dastak na dena...!!!



Comments