Allama Iqbal Inspirational Poetry Collection about Life, Study and Islam in Urdu images


Afrad ky hathon mein ha aqwam ki takdeer
Har fard ha millat ky muqaddar ka sitara,
Dein hath sy dekar agar aazad ho millat
Hai aisi tijarat mein musalmano ka khasara...!!!




Ilm me bhi saroor ha lekin,
Yeh woh jannat ha jis mein hoor nhi...!!!




Kafir ha shamsher py karta ha bharosa,
Momin ha to beteegh bhi larrta ha sipahi...!!!




Khamosh ay dil bhari mahfil mein chillana nahi acha,
Adab pahla qareena ha muhabbat ky qareeno mein...!!!




Khudi ko jis ny falak sy buland tar dekha,
Wahi ha mumlikat-e-subha-o-shaam sy aagah...!!!




Khudi ko kar buland itna ky har taqdeer sy pahly,
KHUDA bandy sy khud pochy bata teri raza kiya hai...!!!




Kis qadar tum py giraan subha ki bedari hai,
Ham sy kab piyar ha haan neend tumhain piyari hai...!!!




Aazan to hoti ha ab magar nahi koi moazzin bilal sa,
Sar basajda to hain momin magar nahi koi zuhra ky laal jaisa...!!!




Agar lahoo ha badan mein to khof ha na hiraas
Agar lahoo ha badan mein to dil ha be waswaas,
Jisy mila yeh mataaye giraan baha usko
Na seem-o-zar sy muhabbat ha na gham-e-aflaas...!!!




Baat sajdon ki nahi khalos-e-dil ki hoti ha IQBAL,
Har mekhany mein sharabi aur har masjid mein namazi nahi hota...!!!




Buton sy tujh sy umeedein KHUDA sy nomedi,
Mujhy bata to sahi aur kafiri kiya hai...!!!



Comments