Gushan Ko Kar Rahi Moattar Hawa-e-Eid
Aata Nahi Kuch Nazar Kuch Bhi Siwa-e-EId,
Meri Taraf Se Eid Mubarak Ho Aapko
Bus Mere Pass Hai Yahi Tohfaa Bara-e-Eid...!!!
EID MUBARAK My Love...!!!
EID MUBARAK
"EID" Aai Hai Musarrat Ki Miyaami Ban Kar,
Woh Musarrat Jo Teri Deed Se Wabasta Hai...!!!
Ey Baad-e-Saba "EID" Mubarak Use Kehna
Kehna Ke Koi Karta Hai Tujhy Yaad Abhi Tak,
Ik Teri Yaadon Se Hai Aabad Abhi Tak
Kehna Ke Humain "EID-e-Guzishta" Ki Tarha Se,
Shiddat Se Khayaal Aaega us Baat Ka Din Bhar
Ik Aur Barss Beet Gaya Tujhse Bichar Kar,
Kehna Ke Faqat Un Ke Liaey "EID" Ka Din Hai
Jin Ke Liey Mehboob Ki Yeh Deed Ka Din Hai,
Aey Kaash Ke Yeh "EID" Bhi Apne Liey Hoti
Mehndi Se Tera Naam Apny Haath Pe Likhte
Aey Kaash Is Saal To Hum "EID" Manate...!!!
Chaak Daman Ko Jo Dekha To Mila "EID" ka Chand
Apni Tasveer Kahan Bhool Gaya "EID" Ka Chand,
Un Ke Abru-e-Khameeda Ki Tarha Teekha Hai
Apni Aankhoon Me Bardi Dair Chubha "EID" Ka Chand,
Door Weenaar Baseery Me Diya Ho Jese
Gham Deewar Se Dekha To Laga "EID" Ka Chand,
Le Ke Haalat Ke Sehraoon Me Aajata Hai
Aaj Bhi Khild Ki Rangeen Fiza "EID" Ka Chand,
Chashm To Wusat-e-Aflaak Me Khoee "Sagar"
Dil Ne Ik Aur Jaga Dhoond Liya "EID" Ka Chand...!!!
Aik Piyaar Bhara EID Ka Card
Dil Me Basne Waloon Ko Bar-Waqat Agar Ponche
Jazboon Ki Mehak Ho Is Me Shaamil
Chaahat Ki Dhanak Ho Is Me Shamil
Sundar Khaabon Ki Dhanak Ho Is Me Shamil,
Aik Piyaar Bhara EID Ka Card Bar-Waqat Agar Ponche
Roothe Huey Piyaron Ko, Shabnami Aankhon Ko
Toote Huey Dil Ko
Tjdeed-e-Mohabbat Ka Alwahi Peghaam Deta Hai,
Aik Piyaar Bhara EID Ka Card Bar-Waqat Agar Ponche
Bhoole Huey Logon Ko
Guzre Huey Lamhion Ko Yaad Dilata Hai
Dil Ke Darpan Me Tufaan Uthata Hai
Jab Bichrdy Huon Ko Milata Hai
To Aik Yaadgaar Tohfah "EID" Ban Jata Hai...!!!
Comments
Post a Comment