Alwida Mah-e-Ramzan Shayari End of Ramadan


Ja Rahi Hain Woh Ronaqain
Ja Rahi Hain Woh Barkatain,

Ja Rahi Hain Woh Khushyaan
Aaya Tha Ban Ke Mehmaan,

Alwida Mah-e-Ramadan
Alwida Mah-e-Ramada...!!!
Remember in your Prayers.
------------------------------------

Sab Ko Udaas Kar Ke Ramazan Ja Raha Hai
Sab Par Luta Ke Apna FEZAN Ja Raha Hai,

Aaya Tha Ghar Humary Qismat Humari Ban Ke
Bheja Tha Jo KHUDA Ne Woh MEHMAN Ja Raha Hai....!!!

Alvida Alvida Mah-e-Ramadan....
----------------------------------------------------------------

Alvida NOOR-E-KHUD, Aey Mah-e-Ramadan Alvida
Tu Ho Raha Hai Hum Se Juda, Aey Mah-e-Ramadan Alvida,

Such To Yeh Hai Haq Tera Hum To Ada Na Kar Saky
Paish Hai Jo Ho Saka, Aey Mah-e-Ramadan Alvida,

Teri Mehmani Me Agar Humse Huee Kotahiyaan
Maaf Kar Dena Khata, Aey Mah-e-Ramadan Alvida,

Zindagi Rahi To Agle Saal Daikhainge Tujhe
Na Rhi To Alvida, Aey Mah-e-Ramadan Alvida...!!!

Comments