Hindi Ghazals Shayari: Suno Tum Maan Jao Na Hamain Ab Yun Satao Na


Suno Tum Maan Jao Na
Hamain Ab Yun Satao Na

Tumharay Bin Hamain Jena
Gawara Ab Nahi Hota,

Tumhain Kaisay Kahun Tum Bin
Guzara Ab Nahi Hota,

Hamain Apna Bana Lo Tum 
Tumhara Ban Ke Rehna Hai,

Mujhe Dukh Hijar Ka Janam
Nahi Ab Or Sehna Hai,

Kaee Sapnay Sajaey Hain
Ab In Me Rang Bhar Do Na,

Tumhain Meri Kasam Janaa
Tum Meray Sang Chal Do Na,

Mujhay Ab Aur Rulao Na
Suno Tum Maan Jao Na...!!!


Comments

Post a Comment