A Poem in Hindi Yehi Surkhi Jo Hay Terey Lab-e-Rukhsaar Pe Janaan



Yehi Surkhi Jo Hay Terey Lab-e-Rukhsaar Pe Janaan
Yehi Rang-e-Sukhan Bharr Dey Mery Ashaar Me Janaan,

Niraali Shaan Sey Aaoon Ga Sub Hairat Sey Dekhen Gey,
Libaas-e-Ishq Pehnoon Ga Tery Darbaar Me Janaan,

Mery Dil Ki Yeh Kefiyat Khuley Tum Pey To Kia Kehney
Takalluf Hai Humain Jazbaat Ke Izhaar Me Janaan,

Yeh Taareeki Ghatey Kesey, Shab-e-Furqat Katey Kesey?
Sehar To So Gai Shayd, Terey Rukhsaar Me Janaan,


Hamaari Koi Qeemat Ho Na Ho Kiya Farqa Parta Hay
Magar Hum To Bikain Ge Misrr Ke Bazaar Me Jannan,

Suni Hain Shab Ke Sannaty Me Humne Siskiyaan Aksar
Abhi Zinda Hay Woh Shayed Kisi Deewaar Me Janaan...!!!


Comments