Sad Urdu Poetry/Shayari Pictures about Shikwa Shikayat


Teri mahfil sy uthey they kisi ko khabar tak na thi,
Bas tera murr murr kar dekhna hamein badnaam kar gaya...!!!




Na jany kitni shikayatein thein na jany kitny gily they unsy,
Jo unko dekha to bhool bethy sawal sary jawab sary...!!!




Shikayatein bhi thein usy to sirf mery khuloos sy,
Ajeeb tha woh shakhs meri aadatein na samajh saka...!!!




Mana ky pur faraib ha wada tera magar,
Karty hain intzar bary aitabar sy...!!!




Mat kar khak ky putly par garoor-e-beniazi itni,
Khud ko khudi mein jhank kar dekh tujh mein rakha kiya ha...!!!




Sab sy kahta ha bas tumhi tum ho,
Aaina bhi bala ka jhota hai...!!!




Suno!
Magroor ham bhi ghazab ky hain
Lekin!
Tery garoor ka bas zara
Ahtram karty hain...!!!




Teri majborian darust hain magar...
Tera wada tha! mujhy hamesha yaad rakhny ka...!!!




Tishnagi jam gai pathar ki tarha honton,
Par doob kar bhi tery darya sy main piyasa nikla...!!!


Comments