Hindi Sad Shayari Collection in Urdu Picture Design


Zindagi ky husool jaisi hon
Shakh-e-ulfat py phool jaisi hon,
Aasman hon main aur logon ka
Tery qadmon ki dhool jaisi hon...!!!




Zindagi ha so guzar rahi hai warna,
Hamein guzray to zamany howey...!!!




Tumhain tarteeb dy raha hon main,
Mery andar bikhar gaye ho tum...!!!




Saza deni to mujhy bhi aati hai,
Par tum takleef sy guzro yeh mujhy gawara nahi...!!!




Naa kaha karo har bar ky ham chor jaein gy tum ko,
Naa ham itny aam hain na ye tery bas ki baat ha...!!!




Soz-e-firaq yar mein marna nahi kamal,
Mar mar ky hijr e yaar mein kamal ha...!!!




Tum tum aur sirf tum,
Lo khatam howi meri dastan...!!!




Pahly tarasha kaanch sy usny mera wajood,
Phir shahar bhar ky hath me pathar thama diye...!!!




Tafsilein chorro bas itna suno,
Tum bichar gaye ham bikhar gaye...!!!


Sad SMS Collection
Teri raahon mein bar bar ruk kar,
Ham ny apna hi intzar kiya...!!!
----------------------------------
Ik adhori nazm ky misry py aanso dekh kar,
Kal raat meri kitab me ik titli mar gai...!!!
----------------------------------
Main doob ky ubhra to bas itna hi dekha,
Oron ki tarha woh bhi kinary py khara tha...!!!
----------------------------------
Apny matlab ky ilawa kon kisi ko pochta hai,
Shajar jab sookh jaein to parindy bhi basera nahi karty...!!!
----------------------------------
Yeh sab raasty ky saathi hain inhain aakhir bicharna hai,
Chalo ab ghar chalein SAGAR buhat aawargi karli...!!!
----------------------------------
Aaya tha ik shakhs mery dard ko bantny,
Rukhsat howa to apna bhi gham dy gaya mujhy...!!!
----------------------------------
Bhool sakty ho to bhool jao ijazat ha tumhain,
Na bhool pao to lot aana aik bhool ki ijazat ha tumhain...!!!
----------------------------------
Anaa parast thy dono chatakh ky toot gaye,
Na mujh sy tu na tujh sy main thi haarny wali...!!!
----------------------------------
Tumhary chorr jany sy mujhy kuch khas farq to na parra,
Pehly roty howey hans deti thi ab hansty howey ro deti hon...!!!
----------------------------------
Us ny khat mein mujh ko kitny dard sy likha tha,
Ab to gaoun aaya karna ab to sadkein pakki hain...!!!
----------------------------------
Mujh ko yeh soch hi kafi ha jalany keliye,
Main na hota to koi aur tumhara hota...!!!
----------------------------------


Comments