Usey Pana Tha Usey Khona Tha




Usey pana tha usey khona tha
Yeh bhi hota tha woh bhi hona tha,

Kitni dair aur us ko rona tha
Woh jo hona tha woh to hona tha,

Shayed is wastey mili aankhain
Bojh kuch aansuyon ka ddhona tha,

Kya ghazzab kar liya ankhon ne
Mujhe to tujhse chup ke rona tha,

Hum ne moti samajh liye they malik
Warna daaman kisey bhigona tha...


Comments