Zindagi Best Collection Shayari and SMS 2 Line, 4 Line With Images


Moat milti hai na zindagi milti hai
Zindagi ki raahon mein bebasi milti hai
Rula dety hain mujhy kiun mery apny
Jab bhi mujhy koi khushi milti hai...!!!





Asal takleef to zindagi hi deti hai
Moat ko to log yonhi badnam karty hain...!!!





Zindagi kaanton ka aik safar hai
Himaat hosla is ki pahchan hai
Raasty par to sabhi chalty hain
Jo raasty banaye wahi to insaan hai...!!!





Bahtar dino ki aas lagaty howey habib
Ham bahtareen din bhi ganwaty chaly gaye...!!!





Inti bad saloki na kar mujh sy ay zindagi
Ham kon sa yahan baar baar aany waly hain...!!!





Buhat kuch sikha jati hai zindagi
Hansa ky rula jati hai zindagi
Ji sako jitna utna je lo dosto
Kiun ky buhat kuch baqi rah jata hai
Aur khatam ho jati hai zindagi...!!!





Zinda rahna hai to haalat sy darna kesa
Jang lizim ho to lashkar nahi dekhy jaty...!!!

Comments