Yaad Shayari And SMS For PC Desktop With Sad Images


Yaadon mein ik teri yaad thi
Kiya yaad tha ye kuch yad nahi
Teri yad mein sab kuch bhol gaye
Kiya bhol gaye kuch yaad nahi
Yad ho tum, bas yaad ho tum
Kiun yad ho tum kuch yaad nahi...!!!





Wabasta meri yadon sy kuch talkhiyan bhi thein
Acha kiya tuny jo mjuh ko faramosh kar diya...!!!





Ik tum ho jisy piyar bhi yaad nahi
Ik main hon jisy or kuch yaad nahi
Zindagi mot ky do hi to tarany hain
Ik tumhain yad nahi ik mujhy yad nahi...!!!





Sirf yaad ban kar na rah jaye piyar mera
Kabhi kabhi kuch waqt ky liye aaya karo
Meri dolat hy jo sanbhal ky dil mein rakhta hon
Mery nahi ho sakty to kuch yadein hi dy jaya karo...!!!





Dil dharakny ka sabab yaad aaya
Wo teri yaad thi ab yaad aaya...!!!





Jab raat ki tanhayi raat ban ky dharakti hai
Yaadon ky jharakon mein chilman si sirakti hain
Inn laboon mein chingari jaisy koi rakh jaye
Yon yaad teri shab bhar seeny mein sulagti hai...!!!





Jab moj mein darya hota hai
Lahrein bhi uth uth bloti hain
Ab bhi maazi ki sab yadein
Kaanon mein ras sa gholti hain...!!!





Tanhayi mery dil mein samaati chali gayi
Qismat bhi apny khail dikhati chali gayi
Mehakti fiza ki khushbo mein jo dekha pyar ko
Bas yaad unki aayi aur rula ky chali gayi...!!!

Comments