Sharab, Nasha, Drink Poetry And SMS With Drinking Wallpapers


Kuch nasha to aapki baat ka hai
Kuch nasha to dheemi barsat ka hai
Hamein aap yon hi sharabi na kahiye
Is dil par asar to aap sy mulaqat ka hai...!!!






Kash hamein bhi koi samajhny wala hota
To aaj ham itny na samajh na hoty
Kash koi ishq ka jaam pilany wala hota
To aaj ham bhi is sharab ky deewany na hoty...!!!






Ye apna dil bhi ajeeb sharabi hai
Har qadam par bas machal jata hai
Tum agar chor ky jao bhi to gham nahi
Ye roz naye maikhnay sy dil bahlata hai...!!!






Ham zindagi sy aas karein bhi kiya karein
Jab tum nahi to paas karein bhi kiya karein
Sharab piyein ya ye zehar bhi to pi liya
Piyas bujhti nahi karein bhi to kiya karein...!!!




Kuch bhi bacha na kahny ko har baat ho gayi
Aao kahein sharab piyein raat ho gayi...!!!







Ghame e dunya mein gham e yaar bhi shamil karlo
Nasha bharta hai sharabein jo sharabon mein milein...!!!





Jany dy maikhany sy ab kab tak piyon ga
Tuny to kasam kha rakhi hai dil sy na nikalny ki...!!!





Yaadon sy salam leta hon
Waqt ky haath leta hon
Zindagi tham jati hai pal bhar keliye
Jab main hathon mein sharab e jaam leta hon...!!!

Comments