Sad Love Shayari, SMS 4 Line Shayari With Sad Images


Bari udaas hai zindagi tery bin
Nahi kuch mery paas tery bin,
Andhera ho ya ho ujala
Aata nahi raas kuch bi tery bin...!!!




Dard jitna hai meri nigahon mein
Na dy khuda kisi ki raahon mein,
Bitana chahaty they zindagi jinki baahon mein
Shayad mot bhi na mil paaye gi unki panahon mein...!!!




Kitna ajeeb apni zindagi ka safar nikla
Saary jahan ka dard apny muqaddar nikla,
Jisky naam apni zindagi ka har lamha kar diya
Afsos wahi hamari chahat sy bekhabar nikla...!!!




Matlab kiya howa berukhi ka
Hai kon mujrim teri is khushi ka,
Umeed thi jis sy piyar ki ay khuda
Bujh gaya wo charag kabhi ka...!!!




Mot ky baad yad aa raha hai koi
Matti meri qabar ki utha raha hai koi,
Ay khuda do pal ki zindagi or dy dy
Meri qabar sy udaas ja raha hai koi...!!!




Piyar jab milta nahi to hota hi kiun hai
Agar khawab sach nahi hoty to insaan sota kiun hai,
Jab yahi piyar aankhon ky saamny kisi or ka ho jaye
To phir ye pagal dil itna rota kiun hai...!!!




Piyar karty ho mujh sy to izhaar kar do
Apni mohabbat ka zikar aaj sary aam kar do,
Nahi karty agar piyar to inkaar kar do
Ye lo mera maasom dil isky tukry hazar kar do...!!!




Usky liye saari dunya sy muhabbat ki thi
Yaad aata hai mainy bhi muhabbat ki thi,
Usko chor ky hansty howey ghar aa kar
Itny roye they ky aankhon ny bi shikayat ki thi...!!!

Comments