Piyar, Muhabbat Shayari With Piyar Muhabbat Shayari Images


Jo dil ky aainy mein ho wahi hai piyar ky qabil
Warna deewar ky qabil to har tasveer hoti hai...!!!





Khobsurat sa aik pal qissa ban jata hai
Jany kab kon zindagi ka hissa ban jata hai
Kuch log zindagi mein milty hain aisy
Jisny kabhi na tootny wala rishta ban jata hai...!!!





Ham ny har saans muhabbat py fida ki hai
Har dua main teri chahat ki iltija ki hai
Tum kiya karo gy muhabbat ki intiha
Ham ny to ibtida hi intiha sy ki hai...!!!





Aagaz e ishq to khob tha yaro kiya kahon
Pahly to thi dil lagi ab dil py ja lagi...!!!





Gulab jaisa badan phool sa nikhar us par
Umand ky aayi hai ab ky baras bahar us par
Wo kal ki raat bhari dair mery pas raha
Aajab tarha sy uterta raha khumar us par...!!!





Meri zindagi to firaaq hai
Wo azal sy dil mein makeen sahi
Wo nigaah e shoq sy door hain
Rag e jaan sy laakh qareen sahi...!!!





Zehar sy bhi ziyada khatarnaak hai ye muhabbat
Agar koi isy chakhly zindagi bhar mar mar ky jeeta hai...!!!





Umer ki raah mein rasty badal jaty hain
Waqt ki aandhi mein insan badal jaty hain
Sochty hain tumhain inta yaad na karein lekin
Aankh band karty hi irady badal jaty hain...!!!

Comments