Dhoka Fraib Shayari For Broken Heart With Sad Mood Images



Log pochty hain kiun surkh hain tumhari aankhein
Hans ky kah deti hoon raat ko so na saki
Lakh chahon bhi magar ye kah na sakoon
Raat ko rony ki hasrat thi magar ro na saki...!!!




Main ye nahi kahta ky meri
Khair khabar pocho tum
Khud kis haal mein ho itna
To bata diya karo...!!!




Har mor py milta hai hamdard naya
Mery shahar mein hain fankar buhat...!!!






Usny torra wo taluq jo hamari har baat sy tha
Usko dukh najany meri kis baat sy tha
Sirf taluq raha, logon ki tarha wo bhi
Jo achi tarha wakif meri har baat sy tha...!!!



Hansi ki raah mein gham mily to kiya karein
Wafa ki raah mein bewafa mily to kiya karein
Kaisy bachaye zindagi ko dhoky baazon sy
Koi muskura ky dhoka dy jaye to kiya karein...!!!





 Guzri zindagi ky kuch pal yaad aaty hain
Aankhein band kar lein to unhi ko paaty hain
Kiya bataein unki bewafai ky kissy ab to
Ham wafa ky naam sy bhi ghabraty hain...!!!






Roz mujh ko fraib deta hai
Khair us ki ye zaib deta hai...!!!





Wo kahty hain dil py bharosa itna nahi karty
Ham kahty hain muhabbat mein socha nahi karty
Wo kahty hain nazrn sy door par dil ky paas hon
Hamny kaha sapno sy dil ko bahlaya nahi karty...!!!





Zindagi mein ail pal bhi sukoon na paaya
Dunya ki is bheer mein khud ko tanha na paya
Tery diye zakhmo ko piyar samajhty rahy
Tery isi bhulawy ky peechy aura kisi sy dil na lagaya...!!!

Comments