Best Collection Of Tanhai Shayari, SMS, Text With Urdu Font


Tery hoty howey bhi tanhayi mili hai
Wafa kar ky bhi dekho buraayi mili hai
Jitni dua ki main ny tumhain paany ki
Us sy ziyada mujhy teri judayi mili hai...!!!





Tanhayi mein ham teri taktay hain raahein
Tumhain dekhny ko tarasti hain nigahein
Hamein by khudi ka ye aalam hai kaisa
Tumhain yad kar ky nikalti hain aahein...!!!





Ahtiyatan dekhta chal apny saaye ki taraf
Is tarha shayad tujhy ahsas e tanhayi na ho...!!!





Rony sy kisi ko kuch haasil nahi hota
Jo khud bichar jaye wo sathi nahi hota
Dosron ki to ham khud mahfil sajaty hain
Par hamari tanhai mein koi shamil nahi hota...!!!






Intzar ki aarzo ab kahein kho gayi hai
Khamoshion ki aadat ab hamein ho gayi hai
Na koi shikwa raha na shikayat kisi sy
Ab muhabatein tanhaion ki parchayi ho gayi hai...!!!






Mainy dekhy howey hain wo lamhy
Khamoshi jab kalam karti hai...!!!





Adaa labon sy dil ki baat hony do
Qaboll aaj dil ki ibadat hony do
Tanha chal rahy ho dasht e zeest mein
Do pal mujh ko zara sath hony do...!!!





Kaisy tery bagari guzri tamam raat
Sheeshy mein ham ny jan utar sari rat
Tera na aana mot ka paigam tha magar
Nikly na phir bhi jaan hamari tamam rat...!!!





Yaad karty hain tumhain tanhayi mein
Dil dooba hai ghamon ki gahrayi mein
Hamein mat dhondhna dunya ki bher mein
Ham meily tumain tumhari hi parchayi mein...!!!

Comments