Baarish Barsaat Shayari, Urdu Text And SMS, With Sad Images


Aaj phir teri yaad aai barish ko dekh kar
Dil py zor na raha apni bebasi dekh kar
Roya to is qadar teri yaad mein
Ky barish bhi tham gayi meri barish ko dekh kar...!!!





Ab ki barsat ki raaton mein badan tot ta hai
Jaag uth ti hai ajab khahishen agrayi ki...!!!




Barishon ky mousam mein badlon kesy main
Aik gaoun ki rah par yaad hai mily they ham
Phir ye hadsa howa aasman to tham gaya
Lekin apni aankhon sy tab sy lekar aaj tak
Barishein barasti hain...!!!





Barsat ki bheegi raaton mein phir koi suhani yaad aai
Kuch apna zamana yaad aaya kuch unki jawani yaad aai
Hum bhool chuky thy jisny hamein dunya mein akela chora tha
Jag gor kiya to aik surat jaani pahchani yaad aai...!!!





Bheeg jati hain palkain tanhayi mein
Darty hain koi jaan na ly
Pasand karty hain taiz barsat mein chalna
Kahein roty howey ko koi pahchan na ly...!!!





Jo barish ki tamana hai to in aankhon mein aa betho
Wo barson mein kahein barsein, ye barson sy barasti hain...!!!





Khayalon mein wohi sapno mein wohi
Lekin unki yaadon mein ham they hi nahi
Ham jagty rahy dunya soti rahi
Aik baarish hi thi, jo hamary sath roti rahi...!!!




Teri yaad ki barish jab barasti hai
Main toot jata hon kachay jhonpry ki tarha...!!!

Comments