Urdu Shayari about Dil in Two Lines Images


Dil kahta ha tery qadmon py jaan qurban kardon,
Ky tu is bewafai ky dor mein mery sath chal raha ha...!!!




Ijazat ho to kuch araz karon?
Khel chuky ho to DIL wapis kar do...!!!




Jab kabhi tera nam lety hain,
Dil sy ham intiqam lety hain...!!!




Karta nahi hai tum sy shikayat yeh DIL magar,
Kahna yeh chahata hai ky tum ab wo nahi rahy...!!!




Kitab-e-taqdeer sy kiya shikwa ay DIL-e-nadaan,
Jab har shay ny mit jana ha to khahishen kesi...!!!




Raat bhar jalta ha ye DIL kisi ki yaad mein,
Samajh nahi aata dard piyar karny sy hota ha ya yaad karny sy...!!!




Raat ky pichly pahar uth ta hai,
Dard-e-DIL tahajud guzar ho jaisy...!!!




Suna hai shoq hai aapko hukmarani,
Ka yeh DIL saltanat hai aapki bas raaj kijiye...!!!




Logo ny buhat pocha sabab veeraniy-e-DIL ka,
Jab ho na saki baat to ham toot ky roye...!!!




Hazaron zakham hain DIL par magar phir bhi ye aadat hai,
Kisi ko bewafa kahna mujhy ahca nahi lagta...!!!




DIL ky chalon py kiya guzarti hai?
Khasta halon py kiya guzarti hai!
Wasl walon ko kiya khabar Nadir
Hijar walon py kiya guzarti haii...!!!




Saza aisi mili mujh ko zakham aisy lagy DIL par,
Chupata to jigar jata sunata to bikhar jata...!!!



Comments