Barsaat Poetry for Lovers in Urdu Pictures


Yaad ki BAARISH
Is mousam ki BAARISHK
Kuch bhi nahi, Lekin
Teri yad ki BAARISH
Har pal....
Mujhy bighoti rahti hai
Zaid meri aankhon sy
Musalsal BAARISH hoti rahti ha...!!!




Muhabbat to BAARISH hai
Muhabbat to BAARISH hai...
jisy chony ki tamanna
har koi rakhta ha. Zaid
Magar hath hamesha khali rah jaty hain...!!!




BAARISHAIN Nahi Rukti,
BAARISH ky mousam me
Us ko yaad karny ki
Aadatein purani han
Ab ki baar ki socha hai
Aadatein badal daalein
Phir khayal aaya
Aadatein badalny sy
BAARISHEIN nahi rukti...!!!




Woh janta tha
Buhat pasand hain BAARISHEIN mujhy
Isiliye shayad
Jaty samay meri aankhon ko
Woh dy gaya ha sawan ka pata...!!!




Baat to sach ha magar dil maanta hi nahi,
Keh BAARISH mein mera ghar jala kesy...!!!




Gham ki BAARISH ny bhi usky naqsh ko dhoya nahi,
Usny mujh ko kho diya mainy usey khoya nahi...!!!




Gungunati howi aati hain falak sy boondein,
Koi badli teri pazaib sy takraai hogi...!!!




Kiya rog dy gai ha ye naye mousam ki BAARISH,
Mujhy yaad aa rahy hain mujhy bhool jany waly...!!!




Teri yaadon ki BAARISH barasti ha jab bhi,
Main bheegta zaroor hon magar palkon ki had tak...!!!





Tumhari yaad ki BARSAAT jab barastsi hai,
Main toot jata hun kachy sy jhonpdy ki tarha...!!!



Comments