Aarzoo, Hasrat, Tmannah, Khwahish Urdu Shayari Images


Aaye ga aik dor wo bhi INSHALLAH,
Jab tu surkh jory mein mery robaro hogi...!!!




Horon sy kah do kisi guman mein na rahein,
Woh farsh par bhi mera ha aur wo arsh par bhi mera hai...!!!




ILAHI aag hi lag jaye is zoq-e-muhabbat ko,
Jaly koi mary koi andhera meri mahfil mein...!!!




Kabhi hamein bhi muyassar ho rothna unsy,
Kabhi hamary bhi hamary bhi dil mein yeh hosla aaye...!!!




Lahom mein qaid kardy jo sadyon ki chahatein,
Hasrat rahi ky aisa koi apna bhi talabgar ho...!!!




Suno mera dil karta ha main tum ban joun,
Aur phir mujh ko koi meri tarha chahy...!!!




Tumhain soch soch ky thak gai hun bohat,
Suno ab main tumhain yaad aana chahati hun...!!!




Ab to shayad hi mujh sy muhabbat kary koi,
Meri aankhon mein TUM saaf nazar aaty ho...!!!




Ay kash kuch aisy silsilay ho jaein,
Ham mit jaein ya fasly mit jaein...!!!




Baharon ky kafily ko kuch dair rok lo sahib,
Aaty hain ham bhi paoun sy nikal kar...!!!




Chalo phir lot kar bachpan mein chalty hain
Kabhi main chor ban joun,
Sipahi ban kar tum dhondo mujhy
Kabhi pitho garam todein aur
Hans kar bhag jaein ham
Ya wahi khel jis mein aankh band kar ky bethy koi
Aur chupein baqi 
Bano tum dadi amma
Aur bulao apny bachon ko
Kabhi laddo ka lalach do
Kabhi sony ki nakles ka
Tum ko pakar lun main
Chalo Phir lot kar bachpan mein chalty hain
Buaht din ho gaye is bekar dunya mein ab rahty...!!!




Hamary liye na sahi ham par hi sahi,
Chalo wo aj dil khol kar hansy to sahi...!!!




Ik aarzoo ha ky unhain bhool jaoun,
Magar unki yaad aati ha yeh hasrat haar jati ha...!!!




Sar-e-toor ho, sar-e-hashar ho, mujhy inkar qabool hai,
Woh kabhi milein, woh kahien milein, woh kabhi sahi, woh kahein sahi...!!!




Tujhsy mily na they to koi aarzoo na thi,
Dekha tujhy to tery talabgar ho gaye...!!!




Tum sy larrna ha jahilon ki tarha,
Koi soorat nikal milny ki...!!!



Comments