Best Sad Urdu Shayari Ghazal By Nasir Kazmi Kidhar Se Aaya Kidhar Gaya Woh


Gaey Dinon Ka Suraagh Le Kar
Kidhar Se Aaya Kidhar Gaya Woh,

Ajeeb Manhoos Ajnabi Tha
Mujhe To Heran Kar Gaya Woh,

Bass Aik Moti Si Chubhan Dikha Kar
Bass Aik Meethi Si Dhunn Suna Kar,

Sitara-e-Shaam Bann Ke Aaya
Berang Khaab-o-Sehr Gaya Woh,

Khushi Ki Rutt Ho Ya Gham Ke Mousam
Nazar Usy Dhoondti Hai Har Damm,

Woh Boo-e-Gull Tha Ya Naghma-e-Jaan
Mery To Dil Me Utar Gaya Woh,

Na Abb Woh Yaadon Ka Charta Daraya
Na Fursaton Ki Udaas Barkhaa,


Yun Hi Zara Si Kasak Hai Dil Me
Jo Zakham Gehra Tha Bhar Gaya Woh,

Kuch Abb Sambhalne Lagi Hai Jaan Bhi
Badal Chala Rang Aasmaan Bhi,

Jo Rat Bhaari Thi Tall Gai Hai
Jo Din Karra Tha Guzar Gaya Hai,

Shakista Paa Rah Me Khara Hun
Gaye Dinon Ko Bhula Raha Hun,

Jo Qafila Mera Humsafar Tha
Misal-e-Gird Safar Gaya Woh,

Woh Mekadey Ko Jagany Wala
Woh Raat Ki Neend Urhany Wala,

Yeh Aaj Kya Uske Jee Me Aai
Ke Shaam Hoty Hi Gharr Gaya Woh,

Woh Jiske Shaany Pe Haath Rakh Kar
Safar Kiya Tune Manzilon Ka,

Teri Gali Se Na Jane Kiun Aaj
Sar Jhukaey Guzar Gayaa Woh,

Woh Hijar Ki Raat Ka Sitara
Woh Humnfs Hum Sukhan Humara,

Tha Naam Uska Bohat Hi Piyara
Suna Hai Kal Raat Mar Gaya Woh,

Woh Raat Ka Benawa Musafir
Woh Tera Shayar Woh Tera Nasir,

Teri Gali Tak To Humne Dekha
Phir Na Jane Kidha Gaya Woh...!!!


Comments