Hairaan Hon Ke Yeh Konsa Dastoor-E-Wafa Hai



Hairaan hoon k ye konsa Dastoor-E-Wafa hai
Tu Misl-E-Rag-E-Jaan hai, To kiyon mujh se khafa hai,

Tu Ahl-E-Nazer hai to nahi tuj ko khaber kiyon
Pehlu me tere koi zamanay se khara hai,

Likha hai mera naam samander pe hawa ne
Or dono ki fitrat me sukoon hai na wafa hai,

Shikwa nahi mujh ko ke hoon Mehroom-E-Tamanna
Gham hai to faqat itna ke tu dekh raha hai,

Hum rakhte hain daawaa ke hai qaboo hamain dil par
Tu saamnay aa jaye to yeh baat juda hai...!!!





Comments