Piyar Mujhse Jo Kiya Tumne To Kya Paaoge




Piyar mujhse jo kiya tumne to kya paaoge
Mere haalat ki aandhi mein bikhar jaaoge,

Ranj aur dard ki basti ki main baashinda hun
Yeh to bas main hun ke iss haal mein bhi zinda hun,

Khwab kyun dekhun wo kal jis pe main sharminda hun
Main jo sharminda hua tum bhi to sharamaaoge ,

Kyun mere saath koi aur pareshaan rahe
Meri duniya hai jo viraan to viraan rahe,

Zindagi ka ye safar tum ko to aasaan rahe
Hamsafar mujhko banaaoge to pachhtaaoge,

Ek main kya abhi aayenge diwaani kitni
Abhi gunjenge muhabbat ke taraane kitne,

Zindgi tumko sunaayegi fasaane kitne Kyun
Samajhate ho mujhe bhuul nahi paaoge Piyar mujhse jo kiya..!!!

Comments