Ek Larki Pagli Si Deewani Si





Ek larki!
Pagli si, Deewani si,
Masoom Si Anjani si.
Apni Ghar ki Mundair pe baithi.
Un Galiyon aur chubaron ko,
un koochon aur Bazaron ko,
Dekhti Hai,
Jahan us ne apna Bachpan guzara tha,
Uski Aankhon main Tha,
Intzaar......,
Kisi ka!
Mager Usay kon Samjaye,
Ke bachpan k Waaday to,
Kachi dor ki terha hote hain,
Aur,
Bhala, Jane wale,
kab Loat ker Aate hain,
Kab loat k aate hain.............!


Comments