Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya




Saza pe chor diya jaza pe chor diya
Har ik kaam ko ham ne khuda pe chor diya,

Woh ham ko yaad rakhta ya phir bhola data 
Usi ka kaam tha osi ki raza pe chor diya,

Ab os ki marzi bojha de ya jala rahne de
Charaagh ko jala k ham ne hawa pe chor diya,

Ham us se baat bhi karte to kis tarah karte
Yah maamla ana ka tha ana pe chor diya,

Isi liy to wo kahte hain bewfa ham ko
Hum ne sara zamana wafa pe chor diya..


Comments