Dastak Kisi Ki Hai Ke Guman Dekhne To De




Dastak kisi ki hai ke guman, dekhne toh de
Darwaza humain tez hawa kholne toh de
Souda hai umar bhar ka, koi khail toh nahi
Ae chashm-e-yaar, mujh ko zara sochne toh de

Apnay lahu ki taal pe khawahishon ke morr ko
Ae dasht-e-ehtiyat, kabhi nachne toh de
Yeh saat aasman kabhi mukhtasir toh hon
Yeh ghoomti zameen kahin thaherne toh de

Us harf kun ki ek amanat hai mere paas
Lekin yeh kaiynaat mujhe bolne toh de
Shayed kisi lakeer mein likha ho mera naam
Ae dost, apna hath mujhe dekhne toh de

Kaise kisi ki yaad ka chehra banaoon gi
woh koi baat mujhe bhoolne toh de....


Comments