Piyar Ahsaas Complete Ghazal Shayari Shayron IKi Yeh Mahfil Meri Duniya Hi Na Thi


Shayron ki ye mahfil meri duniya hi na thi
Tumne e mere yaar muje ye kya baana diya

Na pyar tha jindgi me na ehsaas the koi
Tere ehsaason ne jaane kya jaadun kiya mujhpe

Bewafaai se tere kabhi anjaan main na thi
Par khushiyon pe teri sada kurbaan thi main

Waqt ek vo bhi tha jab shabdon ka ye manjar
Na bus ka tha mere,na judi thi main inse

Bahoon me apni thaame tum laaye muje yaha par
Ghar ban gaya vo mera, Jo mahfil thi teri

Sukun ke vo pal the, Jo teri yaadon me bitaati
Bus tujhiko hi main padhti, Tujhi ko sunaati

Kya khub the vo din bhi pahle tere vo pyar ke afsaane
Khandala ki un waadiyon me main tujhko sunaati

Aankhon se girte aansun, sahmi meri awaaj ko main tujse chipaati
Sunna mere ishq ko vo gujra taraana, soch apne armaan main khud me chipaati

Tu to chala gaya apni ye yaadein deke mujhko
Paane ki laalsa thi bus ek parri ki jo tujko

Aayi thi jab sang main tere is mahfil me
Baahon me thi main tere,band ankhon se tere dil me

Ghut rhi ,dum todh rhi hu .. ab main teri is mahfil me
Wapas kaise jaau ,na dagar ka pata hai

Har shaks yaha hai jhuta,mukhauta chada hai
Seene me jo apne gunaaho ko chipa raha hai

Phir bhi na jaane kyu aaj bhi dil sirf tujhi ko manta hai
Khadi hu aaj bhi vahi par,na raasta hai koi

Kal jab mera ek aansun tha girta, tadap me uski tera dil bhi dukhta
Aaj jab ye aansun tere hi diye hai, to kyu inka tujko ahsaas nhi hai

Dil to tera aaj bhi mujse anjaan nhi hai
Phir kyu aaj tu khaamosh hai e yaara

Maana main teri vo chaahat na thi lekin
Tu jaane mere us pal ki pahchaan to tu hi hai

Baahein bhi ab meri dam todhne lagi hai
Saasnein bhi ab meri thamne si lagi hai

Goud ko tune meri apne phoolon se hai khilaaya
Muhj pagli ko hi tune hai apnaa banaaya

Nanhe nanhe kadmon se kaha use leke jaau
Kaise ab e ishq main use Apna baanaon

Janmdaata hai tu to teri is mahfil ka
Tu gyaani hai dharm ka,insaan jo sabse uncha...!!!

Comments