Khof Shayari Full Ghazal Yeh Kesa Khauf Tha Rakht-e-Safar Bhi Bhool Gaye


Yeh kesa khauf tha rakht-e-safar bhi bhool gaye
Vo kaun log thay jo apnay ghar bhi bhool gaye

Yeh kesi quvvat-e-parvaaz darr ne paida ki
Parinday urrtay huay apnay parr bhi bhool gaye

Dukhon ne cheen lee aankhon ki saari beenaayee
Hum us ka sheher to kiya, rahguzar bhi bhool gaye

Khayaal tha ke sunaayen ge haal-e-dil lekin
Hum us ke saamnay Arz-e-hunar bhi bhool gaye

Juda huay to khula hai tumhaari basti mein
Hum aik dil he nahin, chashm-e-tarr bhi bhool gaye...!!!

Comments