Shikwa Ghazal Sambhala Hosh Hai Jab Say


Sambhala hosh hai jab say muqadar sakht tar nikla
Para hai waasta jis say wohi teer-o-tabar nikla,

Sabaq deta raha jo umr bhar roshan khayali ka
Usay jab paas sy dekha to khud b tang nazar niklaa,

Samaj kar zindagi jis say mohabbat kar rahay thay hum
Usay jab chhu kar dekha to faqat khaaki bashar nikla,

Mohabbat ka khumaar utra to tab saabit huwa ham par
Jisay hum umar samajtay thay wo bemaqsad safar nikla...!!!

Comments